Heart Attack ki Alamat in Urdu hindi || Dil ka dora ki Alamat

Heart Attack se 1 Mah Qabal Samnay Anay wali alamat

Heart Attack ki Alamat in Urdu hindi
Heart Attack ki Alamat in Urdu hindi

Bemaar honay ke baad ilaaj se behtar yeh hai kisi Marz ko hamla karne se Pehlay hi Rokkk diya jaye aur is saada se usool ka itlaq har bemari Par ho saktha ha.

Aur jab Maamla Mot ki bemari Heart Attack ka ho, to is ke to khaas tor par dheyaan dena chahiye .

kya aap ko maloom hai ke aap ka jism dil ke doray se aik mah qabal balkay is se bhi pehlay khabardaar karna shuru kardaita hai.


bas un alamaat ya nishanion ko samajhney ki zaroorat hai aur is hawalay se pareshan bhi nahi hona chahiye kyunkay sehat ke hawalay se shaoor peda karna
kisi ko nuqsaan nahi pohanchata .

yahan aisi alamaat ke baray mein jaanen, jo dil mein kharabion ki janib kayi haftay pehlay ishara karne lagti hain .

NO 1: Thakawat Hona ha

yeh Aisi alamat hai jo 70% heart attack ki shikaar khawateen mein kayi haftay pehlay samnay aayi, ghair mamooli had tak jismani thakawat
heart attack ki janib se ishara karti hai aur mard o khawateen dono mein yeh nazar askati hai. agar yeh thakawat kisi jismani ya zehni sargarmi ka
nateeja nah ho aur din ke ekhtataam par is mein izafah ho, to is par tawajah zaroor markooz ki jani chahiye .

NO 2: Pait Mein Dard

50% heart attack ke waqeat mein yeh alamat kuch arsay pehlay samnay aayi, maiday mein dard, dil matlana, pait phoolnay ya motion waghera mutadid aam
alamaat hain, heart attack se qabal pait ya maiday mein dard kuch ajeeb sa hota hai, yani kabhi hota hai aur phir aaraam mehsoos honay lagta hai,
magar kuch waqt baad phir lout aata hai.

NO 3: Dard jo Haath Mein Phail jaye

heart attack ki aik aur alamat aisay dard ki hoti hai jis ka aaghaz jism ke baen hissay se hota hai, yeh dard seenay se shuru hokar neechay ki janib jata
 hai, magar aksar mareezon ko haath mein dard ka ehsas hota hai .

NO 4: Achanak Sir Chakrana

waisay to sir chakranay ki mukhtalif wajohaat ho sakti hain taham agar aap ko achanak larkharaht ka ehsas ho jis ke sath seenay mein takleef ya saans lainay mein mushkil ho to fori dr se rabita karen. mahireen ke mutabiq aisa honay ka matlab blood pressure taizi se girna hota hai kyunkay dil mamool ke mutabiq pump karne se qassar hota hai .

NO 5: Jabray ya Gilaay Mein Takleef

waisay jabray ya gilaay mein takleef ki wajah kuch aur bhi hosakti hai, taham agar seenay ke darmiyan dard ya ???? ka ehsas ho jo gilaay ya jabray ki janib phail jaye to yeh heart attack ki alamat hosakti hai .

NO 6: khansi jo roknay ka naam nah le

beshtar waqeat mein yeh dil ke maslay ki nishani nahi hoti, taham agar aap pehlay hi amraaz qalb ka shikaar hain to phir zaroor khatray ki ghanti hai, agar aap ki khansi bohat ziyada der tak barqarar rahay jis se safaid ya gulaabii balgham kharij ho to yeh heart ?????? ki nishani hoti hai .

NO 7: Haath Paiir Aur takhno ki soojan

yeh is baat ki alamat hoti hai ke dil mo-asar tareeqay se khoon ko pump nahi krparha, jab dil taizi se pump nahi krpata to khoon wapas sharianon mein jaakar un ko phula deta hai, jis se heart attack ka khatrah peda hota hai .

No 8: Be khwabi

Yeh alamat mardon ke muqablay mein khawateen mein ziyada nazar aati hai, waisay tibbi mahireen is alamat ko heart attack ya faalij waghera ke barhatay khatray ka Andia qarar dete hain. raat ko neend nah anay ke sath shadeed noiyat ki zehni be cheeni aur ghair haazir dimaghi ka saamna ho to yeh tashweesh-naak ho sakta hai .

Yeh bhi Parheen :
Sugar ki Alamat || diabetes symptoms

NO 9: Saans Ghatna

chalees feesad cases mein yeh alamat samnay aati hai, yani saans lainay mein mushkil aur yeh ehsas ke gehra saans lena mumkin nahi, yeh mardon aur khawateen ke andar heart attack se 6 mah qabal bhi aksar samnay aati hai, yeh aam tor par aik intibahi alamat hoti hai ke dr se rujoo kya jana chahiye .

NO 10: Baal Girna

balon ka taizi se girna bhi amraaz qalb ki aik wazeh alamat hai, aam tor par yeh pachaas saal se zayed Umar ke mardon mein ziyada nazar aati hai magar kuch khawateen mein bhi yeh samnay aati hai .

NO 11: Dil ki dharkan mein be tarteebi

dil ki dharkan mein be tarteebi aksar panic attack aur zehni be cheeni ke sath hamla aawar hoti hai, khaas tor par khawateen mein, yeh achanak hamla karti hai. agar dil ki dharkan mein taizi aik se do minute tak barqarar rahay aur is mein kami nah aaye, is ke ilawa dharkan ki raftaar mein kami Beshi se ghashi aur thakawat ka mehsoos hona is baat ki alamat hai ke dr se rujoo karlena chahiye .

yeh bhi dekhen : https://youtu.be/KAtLq8bGWCs

NO 12: Bohat ziyada paseena aana

ghayr-maa'mooli ya bohat ziyada paseena aana bhi heart attack ki aik ibtidayi intibahi alamat hai, jo ke din ya raat kisi bhi waqt samnay askati hai. yeh alamat aam tour par khawateen mein ziyada samnay aati hai, taham woh usay nazar andaaz kardeti hain. taham agar is ke sath flow jaisi alamaat hon, jald par chip chapa pan ya Khushgawar mausam ke bawajood paseena aaye to yeh khatray ki ghanti hosakti hai .

NO 13: Seenay Mein Dard

Mardon aur khawateen dono mein seenay mein dard mukhtalif shiddat aur tareeqay se samnay aata hai. mardon mein yeh alamat intehai ahem ibtidayi alamaat mein se aik hai, jisay nazar andaaz nahi kya jana chahiye, jabkay khawateen ke 30 feesad waqeat mein yeh samnay aati hai. seenay mein dard aik ya dono hathon mein ( aksar baen haath mein ), nichale jabray mein, gird, kaandhon ya maiday mein shadeed noiyat ki be itmenani ki shakal mein phail jaye to dr se rujoo karliya jana chahiye .

Share on Google Plus

About walizone

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.

0 Comments:

Post a Comment