Jigar ki Kharabi ki Alamat in urdu Hindi

Jigar ki Kharabi ki Alamat | Jigar ki kharabi ki Alamat | Jigar Insaan jism ke un Hisson Mein se Aik hai Jin ko aam Tor Par is waqt Taq Sanjeeda nahi liya jata jab taq woh Masail ka baais nahi banay. 

 

Jigar ki Kharabi ki Alamat
Jigar ki Kharabi ki Alamat



Jigar ka Durust Tareeqay Se kaam karna Mutadid wajohaat ke baais Achi sahet ke liye intehai zurori hai taham is ki barri Ahmiyat yeh hai ke hum jo kuch bhi khatay hain usay hazem karne ke liye jigar ki zaroorat hoti hai.

To is Mein kisi bhi Qisam ki kharabi ya bemari ki soorat mein jo Alamaat samnay aati hain woh bhi Aksar Afraad Nazar Andaaz kar dete hain.


Yahan Jigar ko Nuqsaan Pounchanay ki Aisi hi khamosh Alamaat ka zikar kiya Gaya hai jin se waqfiyat har Aik ke liye Zurori hai .

NO 1: Thakawat

Har Aik ko kisi nah kisi waqt thakawat ka saamna hota hi hai Magar Jigar ke Amraaz ke baais jis takan ka tajurbah hota hai woh bilkul Mukhtalif hoti hai.
Jigar Mein kharabi ki soorat Mein yeh uzoo Tawanai Par control ka rkay din ko poora karna intehai mushkil bana deta hai.
Coffi Aur Deegar Caffeine walay Mashrobat jigar ki haalat ko ziyada bad tareen bnadite hain, lehaza tawanai ko wapas haasil karne ke liye Pani, Phal aur Sahet Mand Protein taq mehdood rahen

NO 2: Platelets ki kami

Plate lets khoon ke Andar woh Nanhay zarraat hotay hain jo jaryaan khoon se Mout ke khatray ko taalnay ke liye zurori hain. 
Jigar ke bohat say Mareezon mein Plate lets ki kami ho jati hai aur yeh jigar ke amraaz ki shanakht ka bhi bara zareya saabit hotay hain .

NO 3: Matli ya qay hona

qay ka ehsas hona kisi ke liye bhi Khushgawar saabit nahi hota aur jigar ke amraaz ke shikaar afraad ko is ka tajurbah aksar hota hai .

NO 4: warm

Jab Aap ke jism ke Mukhtalif hissay soojna shuro ho khaas tor par Tangon ka sojna Jigar ke Amraaz mein aam hota hai. agar aap ke paiir aksar sooj jatay hain to rozana 20 minute taq chehal qadmi ko aadat bananay se khoon ki ravani ko tangon mein behtar banaya ja sakta hai .

NO 5: Yarqaan

Yarqaan ke Marz se to sab hi waaqif hain Aur baaligh Afraad ko is ka Tajurbah aam tor Par is waqt hota hai jab un ke jigar ke andar kuch Garbar chal rahi ho.
Is Marz Mein jald ki Rangat badalny lagti hai aur woh chand ghanton ya dinon mein zard ya orange shade ki hojati hai.

NO 6: jald kharashein Hona

Jigar ke Mukhtalif Amraaz ke shikaar Afraad Mein khoon ki bemariyan bhi peda ho jati hain jaisay khoon ziyada behnay lagta hai ya baghair kisi wajah ke jald par kharashein phar jana waghera.
Agar Aap Aisa hotay dekhen aur jald Par kharaash ki koi wajah nah mil sakay to dr se aik baar zaroor mahswara len.


NO 7: Maiday Mein Dard:

Jab shikam Mein Mojood kisi uzoo ko Masail ka Saamna ho to Poooray Maiday Mein dard ka Saamna to hota hi hai.
Jigar ka dard Bohat Taiz hota hai aur Aisa lagta hai jaisay khanjar se Mara ja raha ho Aisa dard lablabay Mein kharabi ke baais bhi hota hai to Aisa dard honay Par Dr se Rujoo zaroor karna chahiye

NO 8: Haiza

Aam Tor Par jab Nizaam Haazma Mein kisi Qisam ki kharabi ho to haiza Sab se Pehli Nishani hota hai jo aap ko chokanna karne ki koshish kar rahi hoti hai .

NO 9: khanay ki khwahish khatam hona

Agar Aap ka Maida Takleef ka shikaar ho to khana zehan mein anay wali aakhri cheez ho sakta hai. yeh heran kin Amar nahi ke Jigar ke amraaz Mein Mubtala beshtar afraad ko jismani wazan mein kami aur khanay ki khwahish khatam honay ka saamna ilaaj se qabal, is ke douran aur baad mein karna parta hai .

Note : Yeh mazmoon aam maloomat ke liye hai. qaryin is hawalay se –apne mualij se bhi zaroor mahswara len.
Share on Google Plus

About walizone

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.

2 Comments:

  1. After reading your article, I'm compelling to share your points on this topic. You have done a very good job with your attention to detail you put into this article. For more information visit here: jigar ki kharabi ki alamat

    ReplyDelete