Hepatitis c in Urdu | Hepatitis A or Hepatitis B
Hepatitis C kya hai?
Hepatitis C Aik virus hai jo Aap ke Jigar ko Bemaar kar daita hai. Alchohal ka ziyada istemaal, Manshiat ka Istemaal, kuch kimiklz aur kuch dosray virus bhi jigar ko bemaar kar satke hain.Aap ka jigar Aap ki Sahet ke liye bohat Ahem hai. jab Jigar Mein Takleef ho ya Usay Nuqsaan Puhanche to Yeh theek Tareeqay se kaam nahi karta aur Aap ko bemaar kar daita hai.
![]() |
Hepatitis C in Urdu |
Hepatitis C kaisay la-haq hota hai?
Aap ko Hepatitis C Tab la-haq ho sakta hai jab kisi aisay shakhs ka khoon jis Mein Hepatitis C virus ho Aap ke Douran khoon Mein chala jaye.chahay khoon ke Qatray itnay chhootey hon ke dikhayi nah den, tab bhi aap ko hipatayits si lag sakta hai.
0 Comments:
Post a Comment