Badhazmi ki Alamat Aur iLaj

Badhazmi ki Alamat Aur iLaj

Pait Insaan ka woh Azoo hai jo Aksar Amraaz ki zad Mein Rehta hai. Ab chahay woh Gas ho Ya Gabz ho Ya Badhazmi kisi nah kisi shakal mein Sab ko hi Mutasir karte hain.

Magar Aap ke Pass kuch cheeze ya Nuskhay Mojood hain jo Qudrati tor par Badhazmi ka iLaj mein Madadgaar Saabit hotay hain.

Badhazmi ki Alamat in urdu | Badhazmi Symptoms in urdu Hindi

Badhazmi ki Alamat
Badhazmi ka iLaj Aur Alamat









 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Badhazmi Symptoms Aik Aam Si bemari hai Pait Mein Boojh ho gana , Aur khattay Dakaar Ana, Aur Muh Mein khatta Pani atay Rehna. Pait mein hwa rehna Yeh Tamam kaifiyat maida ki kharabi ki aaina daar hain.

Ghiza theek se Hazem Nah honey ki wajah se jism main kamzoree, susti waghera waqay ho jati hai.


Badhazmi kis Sabab hoti hai?

Badhazmi aksar Murgin Ghzaon, Arram Talabb Zindagi, Purani Qabz, khanay ke Pana kia Galt Time ya khanay ke baad jald so janay ki wajah se Anton mein Ghiza Mamool se ziyada tharti hai,
jis ki wajah se Badhazmi ki Alamaat Peda hoti hain. 
Aur Paidal chalne sy Anton Mein Mojood khwark bhi Agay ko chalti hai jo log Ghar se sawari Par kaam Par jatay hain, Aur thoray se faasla Par bhi sawari ka istemaal karte hain. un ko Badhazmi Apni is koshish se haasil hoti hai

Hadees Main Khana ki Miqdaar ki taraf ishara karti hai.

Agar Pait bharnay ka hi khayaal hai to aik Tahai khana, Aik tahai Pani Aur Aik tahai Saans ke liye khaali rakhay.

Maida Mein Pani, Ghiza aur Ratboo ke amal se carbon dioxide Gas banti hai aur yeh maida ke oopar walay hissay mein aa jati hai.

Agar Maida ke is hissay ko bhi khwark se bhar diya jaye to gas ke liye jagah nah hogi. yeh amal maida mein bohat si bimarion ka baais aur saans mein dushwari peda karta hai .

Gas Aur Badhazmi Ka Ilaj Tib-e-Nabvi SAW Say:

Badhazmi ka bunyadi ilaaj Shehad hai. haalat khuwa kuch bhi ho, shehad Peenay se Aram aata hai. maida aur anton ki jalan rafa hoti hai.

Shehad Agar Garam pani mein piya jaye to aksar Auqaat neend aa jati hai jis ke baad alamaat ka beshtar hissa khatam ho jata hai.

NO 1: Podeenay ki chaey Badhazmi Ka Desi Ilaj:

Badhazmi Ka Desi Ilaj
Badhazmi Ka Desi Ilaj:   


 

Badhazmi Ka Desi Ilaj Podeenay ki chaey fori tor par Badhazmi ke ehsas ko khatam 

karne Mein madad day sakta hai, Podeenay ki chaey Mutadid Aqsam ke Nizaam haazma ke masail se nijaat ke liye faida mand hai.
Bas Podeenay ki chaey ka tea bag Aik Cup Pani Mein bigho kar 10 Minute ke liye dhaanp kar rakhen Aur Phir Pee len.

NO 2: Saib ka Sirka Aur shehad Say Badhazmi ka ilaj

Aik chaey ka chamach shehad aur Aik chaey ka chamach saib ka sirka Aik Glass Garam Pani Mein milayen aur khanay se adhay ghantay Pehlay Piee len, yeh badhazmi ka shikaar honay se hamesha bachaaye ga.

NO 3: Chawal ki chaey

Hize ki rokkk thaam ke liye chawal ki’ chaey’ istemaal karkay dekhen. Aadha Cup chaawlon ko chay Cup pani mein 15 minute taq Ubalain, Phir chawal nikaal kar pani mein shehad ya cheeni mila kar pi len .

READ MORE : Ulsar ki 10 Alamaat | Ulsar in hindi

NO 4: Saib ka sirka

Agar Aap ko khana hazem karne mein Mushkil Paish aa rahi hai ya gas naay Pareshan kar rakha hai to aik chaey ka chamach saib ka sirka aur aik chaey ka chamach shehad aik Cup Garam Pani mein milayen aur Piee len,

Aap ki Pareshani mein kami aajay gi, yeh mkschr seenay ki jalan se muratab honay walay asraat ko bhi kam karta hai .


NO 5: kishmish, Aadu, Aloo bukhara:

Agar Aap Qabz Aour Badhazmi ka shikaar hain to Phalon Aur meway par mushtamil ghiza yani chhere, kishmish, aadu aur Aloo bukhara waghera ko aazma kar dekhen.

Yeh tamam fibre se bharpoor cheeze hain jo aap ke nizaam haazma ko harkat day kar qabz ki takleef ko khatam karne mein madad deti hain .

NO 6: Dahi Say Pait Ka dard ka ilaj:

Agar Aap ke Pait mein dard ho raha hai to dahi ko istemaal kar kay dekhen, is mein maiday ke liye achay samjhay jaaney walay bacteria ki mojoodgi Pait ki takleef mein kami lakar jismani difai nizaam ko berhate hain,

Bas khayaal rakhen ke chiknai se Pak Dahi ko baghair cheeni ke istemaal karne se hi aap ko faida hota hai .


READ MORE:  Jigar ki kharabi ki Alamat

NO 7: Sonf khana Say Gas ki takleef Dore:

Sonf vitamins aur minerals se bharpoor hoti hain, jo un kharab bacteria ko khatam karte hain jo khana hazem nah karne aur gas waghera ka baais bantay hain.

khanay ke baad is ki kuch miqdaar ka istemaal karen ya gas ki takleef honay ki soorat mein kha kar dekhen.


Note : Yeh Mazmoon Aam Maloomat ke liye hai, Qaryin is hawalay se Apne Mualij se bhi zaroor mahswara len.

 

 

Share on Google Plus

About walizone

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.

2 Comments:

  1. At the point when I read great substance I like to ensure I thank the author, so bless your heart. Your article is elegantly composed (obviously) and exactly what I like to peruse. For More Information Visit Here Pait Dard Ka Ilaj

    ReplyDelete