Ulsar ki 10 Alamaat | Ulsar in hindi

Ulsar ki 10 khamosh Alamat | Ulsar in hindi |Alsar ki Pehchan

Alsar Jism ke kisi Uzoo Mein Zakham Prh jane ko kehte hain Aur Maiday Mein Zakham honay ki soorat mein usay Alsar ka naam diya jata hai jo aksar maiday ki pichli deewar par hota hai Lakin Yah Agli satah Par bhi Yeh zakham ho jata hai.

Ulsar ki 10 Alamaat | Ulsar in hindi
Ulsar ki 10 Alamaat | Ulsar in hindi


Yeh Purana honay ke sath barhta chala jata hai Magar kya aap is ki Alamaat se Waaqif hain?

Dar Haqeeqat Maiday Ya Pait Mein is Dard ko kisi Soorat Nazar andaz nahi karna chahiye khaas tor par Agar darj zail mein di jaaney wali alamaat samnay ayen.

NO 1: Shikam ke oopri hissay mein dard:

Alsar ki Bohat hi Aam Alamat shikam ke oopri hissay mein dard hona hai, chicago university ki aik tahaqeeq ke mutabiq alsar oopri ghizai naali mein kisi bhi jagah ho sakta hai

Mager yeh aksar log sochte hain ke yeh chothee Aant ya Maiday mein hota hai, jahan dard mehsoos hota hai, yeh dard aam tor par seenay ki haddi aur naaf ke darmain hota hai

Aur jalan, kharish ya tabiyat sust honay ka ehsas bhi hota hai. yeh kefiyat Aaghaz mein halki aur qabil bardasht dard ke sath hoti hai Magar alsar bherne se yeh sangeen hoti chali jati hai.

NO 2: Dil Matlana 

Ulsar in hindi ki aik aur barri nishani dil matlana hai, tibbi mahireen ke mutabiq alsar ke nateejay mein hazme mein mojood sele ki Chemistry badal jati hai

jis ke nateejay mein dil mtlane khasosan subah ke waqt aisa ehsas hota hai. alsar honay par khoraak ko hazem karna aksar mushkil kaam saabit hota hai .

Agar alsar bherne lagey to waqt ke sath dil mtlane ka ehsas barh kar qay ki shakal ikhtiyar kar leta hai jo aksar honay lagti hai, jo koi achcha tajurbah to nahi

magar tibbi mahireen ka kehna hai ke aisi soorat mein adwiyaat jaisay Aspirin Aur Brofin se daur rehna chahiye kyun kay un ke istemaal se alsar ki haalat kharab honay ka khatrah barh jata hai.

    NO 3: kay ya Fazlay Mein khoon Ana:

    Wash Room Mein Fazlay mein khoon Aana Mukhtalif Tibbi Masail ka baais ho sakta hai Taham Agar shikam ke oopri hissay mein dard ke sath aisa ho to yeh Alsar ki Alamat ho sakti hai, Agar aap ko bhi is ki shikayat ho to fori tor par Dr se Rabta karna chahiye.

    NO 4: khanay ke baad Aksar Seenay mein jalan:

    Agar Aap ko aksar seenay mein jalan ki shikayat Rehti hai chahay Ghiza kuch bhi ho to alsar is ka zimma daar ho sakta hai.

    Alsar ke beshtar Mareezon ko seenay mein shadeed dard ki shikayat rehti hai jis ke baais khanay ke baad hichikiyaan anay lagti hain.

    Alsar ke beshtar Mareezon ke andar khanay ki khwahish kam ho jati hai jis ke nateejay mein Ghiza ki miqdaar ke istemaal mein kami Aati hai jab kay ultian ziyada anay lagti hain aur wazan mein Ghair Mutawaqqa kami hojati hai.


    NO 5: khanay ki khwahish khatam ho jana:

    Alsar ke Beshtar Mareezon ke andar khanay ki khwahish kam hojati hai jis ke nateejay mein ghiza ki miqdaar ke istemaal mein kami aati hai
    Jab kay altyan ziyada anay lagti hain aur wazan mein ghair mutawaqqa kami hojati hai .

    NO 6: Bhook ka Ajeeb ehsas:

    Agarchay alsar ke baais khanay ki khwahish khatam ho jati hai, Magar khanay ke baad aik se 3 ghantay taq naaf aur seenay ke darmain dard ko aksar afraad bhook samajh letay hain,

    kuch khanay se ho sakta hai ke dard mein relief ho to yeh maiday mein alsar ki alamat ho sakti hai.

    NO 7: Pait Phoolna

    Agar Aap ko Mehsoos ho ke Pait zaroorat se phool gaya hai to yeh Gas ke Muqablay mein sangeen Maamla ho sakta hai balkay alsar ki aik nishani ho sakti hai.

    Aam tor par yeh Alsar ki ibtidayi Alamaat Mein se Aik hoti hai khasosan Aisay Afraad mein jinhen pait ke darmiyani hissay mein shikayat ki takleef bhi ho .

    NO 8: kamar Dard:

    Waisay to Alsar ko maiday aur chothee Aant se Munsalik kya jata hai magar is ka dard safar kar kay kamar taq bhi ja sakta hai, Agar alsar anton ki deewar taq phail jaye to is ka dard ziyada shadeed ho jata hai, dorania barh jata hai aur is mein kami mushkil se aati hai.

    NO 9: dakarain

    bd_hzmi alsar ki chand Aam Alamaat Mein se aik hai aur yeh aam tor par dakaar ki shakal mein nazar aati hai. Agar Mamool se ziyada dakarain aa rahi hon aur is ke sath oopar darj alamaat mein se koi nazar aeye to dr se rujoo karen.
    Share on Google Plus

    About walizone

    This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.

    0 Comments:

    Post a Comment