Bachay ki pehli thos ghiza || 0 to 6 months baby food in urdu

Bachay ki pehli thos ghiza

Aam Tor par Maaen bachon ko Paidaiesh ke chand mah baad hi kuch nah kuch thos Ghiza dena shuru kar deti hain

jabkay Tibbi Tehqeeq krna wala Wazeh karti hai ke bachay ka jism 6 Mah Tak Thos Ghizaion  Khanay  ke liye Tayyar nahi hota.

Internation Health ke Mutabiq Pehlay 6 Mah ke liye Maa ka doodh sher khawar bachon ke liye sab se behtareen khoraak hai.

6 mah ke baad bachon ko maa ke doodh ke sath halki phulki Ghiza di ja sakti hain, taham thos ghiza shuru karanay mein 6 mah se ziyada ka waqt nah len.

jis waqt bacha bithanay par Apna Sir Achi terhan ooper uttha le to smjh len ke woh thos ghiza khanay ke liye tayyar hai,Mager Behtar yeh hai ke bachay ko is waqt thos Ghiza dena shuru ki jayen jab woh khud-bakhud bethnay lagey.

yeh woh Umar hai jab woh ghiza ko zabaan se Bhir ko phainknay ka amal khatam kardaita hai. 

Aisay mein usay thori si miqdaar mein formula doodh mein chawal ka serial pakaker dena shuru karen. agar bawajood koshish ke bachay ki zabaan khanay ko bahar nikaal deti hai to aap ko chahiye ke thos Ghiza dainay ke liye mazeed intzaar karen .

Apne bachay ko is waqt khana khilain jab woh khush ho.

yaad rakhen ke thakey hue bachay ke mizaaj mein chirchira pan hota hai isliye woh khanay mein ziyada dilchaspi nahi laita .

Shuro Main bachay ko ( 1-4) chothai chaye ka chamcha khana den, chamach is ke honton par rakh dia phir is ka rddaml dekhen. 

Agar bacha mazeed khanay ke liye mun kholta ha to fhir dosra luqmah is ke mun mein dalain basorat deegar zabardasti nah karna hi behtar hai

Pehlay chand dinon mein sirf aik martaba thos ghiza den.

jab bacha is mein maahir ho jaye to dosra khana khilain, kuch dinon baad teesra khana den .

Read more Bachon ki Sahet ke liye Pareshan walidain ke liye zurori bate | Kids Health

Agar bacha ziddi ho raha hai , Sirr phar raha hai , Muhh ko band kar raha hai , khana ugal raha hai ya ird gird girata hai to yeh is ke pait ke bhar jane ka ishara hai.

6 mah ki Umar ke lag bhag bachay ko din mein aik martaba be bi serial jo chawal, jo ya jo ki mukhtalif aqsam mein se tayyar hota hai,

usay maa ke doodh ya formula mein mila kar diya ja sakta hai
bakray aur murghi ka gosht , anday ki sakht magar kuchli hui zardi , achi terhan paki hui phalian , dalain kabli chuney,

sabzion main jaisay mutter, halwa kaddu , shukar kandi , gaajar , gobhi , ya sabz phalian.

Qabal is ke ke aap ka bacha meethay phal ke zaiqay ka aadi ho ussay sabzion se muta-arif karana aqalmandi hogi.

apne bachay ko baghair makhan aur namak ki sabzi ki aadat dalain.

jab bacha sabzion ko bator khoraak mein lena qubool karle to usay phalon ki janib mael karen .

bachon ko aik, aik karkay naye khanay muta-arif karayen.

naya khana muta-arif karanay mein kuch waqt len aur na muwafiq rddaml ka jaiza len jaisay ishaal, qay ya surkh nishaan .

agar aisa hai to aap ko nihayat aasani se ilm ho sakta hai ke aap ke bachay ko kis khanay se allergy hai .

Share on Google Plus

About walizone

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.

1 Comments:

  1. Meri beti ko thos ghiza hazam nh hoti foran motion krdeti hai is k lye kya krna chahiye k wo digest karay
    Aur kiya khilaon
    Mai patla patla cerelac dena start kiya hai 6 month mai hai

    ReplyDelete