khushk Honton kia desi Ilaj || Lips Problem in urdu hindi

👄👄👄 Sardiyoon Mein khushk Honton Se Chhutkara ka

Mausam Sarma Mein jahan Garma Grram kaafi aur khushk meway jaat khanay ka apna maza hota hai wahein is mausam mein hamein jald se mutaliq masail ka saamna bhi karna parta hai 

sardiyoon mein hamari jald be had khushk aur be jaan nazar aati hai aur hamein inhen tar rakhnay ke liye baar baar usay Moisturize karna parta hai .

aap bhi mausam sarma ki wajah se khushk aur phatay hont honay ki wajah se pareshan hon ge, isi liye aaj hum aap ko aisay aasaan aur gharelo totkay bitayen ge jis par amal karne ke baad aap ke hont sardiyoon mein bhi naram aur mulaem rahen ge .

No 1: Exfoliate ( Scrub Karna )

jis terhan hamaray chehray aur jism ko Exfoliation ki zaroorat hoti hai bilkul isi terhan hamaray honton ko bhi Scrub karna bohat zaroori hai .

honton ko rozana cheeni mein leemo mila kar Scrub karne se be jaan jald nikal jati hai aur is ke baad honton ko foran Moisturize karne se aap ke hont naram ho jayen ge .

No 2: Shehad ka istemaal

Hamein apni khoraak mein shehad ka istemaal zaroor karna chahiye kyunkay is mein anti bacterial khasiyat hoti hai jis se jald taro taaza rehti hai .

sardiyoon mein rozana shehad mein lemoo mila kar honton par laganay se aap ke hont khushk nahi hon ge.

No: 3 Pani ka ziyada istemaal

Sardiyoon Mein hum Pani ki Miqdaar kam kar dete hain aur Phir hamein yeh Shikayat rehti hai ke Hamaray Hont Khushk aur Phatt Jatay hain .

Sardi ho ya Garmi hamein din mein Pani ziyada se ziyada Piinaa chahiye kyunkay pani se jald bhi taro taaza rehti hai.

Share on Google Plus

About walizone

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.

0 Comments:

Post a Comment