Bachon ki Sahet ke liye Pareshan walidain ke liye zurori bate | Kids Health

bachon ki sahet ke liye pareshan walidain ke liye zurori bate



bachon ki sahet har Maa Baap ke liye khatray ki baat hotein hai,
aur fikar mand rehtay hain kahin hamaray bachay kuch ghalat kha pi nah len.

Aisay hi fikar mand walidain agar chand ahteyati tadabeer istemaal kar len to bachon ki sahet theek rakh satke hain,
lekin aaj kal ke bachay khanay peenay ke muamlay mein bohat ziyada bad parazi karte hain.

Bachon ke sahet mand honay se morad hai ke woh munasib khana khayen, khail kood mein hissa len aur sab se barri baat bachon ka wazan munasib rahay,

kyun kay aaj kal bachon mein wazan ziyada honay ki shikayaat barh gayi hain. is ki aik wajah to yeh hai ke aap bachon ko har waq

Sabzion Aur Phalon ka istemaal

bachon mein ziyada tar chips, buscuits aur is se millti jalti cheeze kha neh ka show q ho taa hai, lekin yeh cheeze bachon ki sahet ke liye behtar nahi hai.

bachon ko har qisam ki sabzian aur phal khilanay chahiye, kyun kay sabzian aur phal bachon ke jism ko woh tamam zurori ajzaa faraham karte hain jo un ki nashonuma ke liye behtareen hon.

mausam ke lehaaz se milnay walay koi bhi phal aur sabzian –apne bachon ko rozana zaroor khilain .

doodh aur pani ka istimaal

Mausam chahay jo bhi ho, pani pyaas ko bujhanay mein behtareen kirdaar ada karta hai. is liye zaroor y hai ke aap apne bachon ko pani ki munasib miqdaar faraham karen.

is ke sath sath bachon mein doodh peenay ki aadat banayen. doodh ka istemaal barhatay hue bachon ki Nasnooma Main ahem kirdaar ada karta hai,

9 saal se ziyada Umar ke bachon ke liye rozana do cupp doodh ka istemaal laazmi hai
Share on Google Plus

About walizone

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.

0 Comments:

Post a Comment