Badam khane ka Sahi Tarika || Badam khane ke Fayde

Assalam o Alikum
Aj hum health room main ap ap ko bataain gia Badam khanay ka sahih Tareeqa konsa hai ?
 


Agar be waqt bhook lagey to chips ya buscuits ki bajaye kuch badam khalen, jis se nah sirf jismani tawanai mein izafah hota hai balkay
mutadid tibbi masail ka khatrah bhi kam hota hai .

badam vitamin e, ghizai fibre, magnesium, copper, zank, iron, potassium aur calcium samait 15 ghizai ajzaa jism ko fraham karte hain

Magar badam ko khanay ke tareeqay ke hawalay kaafi ghalat fehmiya bhi payi jati hain, jin ke baray mein mahireen tib ki raye darj zail hai .

NO:1  kya badam roz khana Nuqsaan to nahi ?

badam ghizai ajza se bharpoor mewa hai aur nizaam sehat ke liye mutadid tareeqon se faida mand hai, yeh dil ke liye to bohat ziyada faida mand hai
jabkay cholesterol ki satah kam karta hai .

BADAN har roz kia istemaal say sehat mand tarz zindagi aur jismani wazan ko control mein rakhnay mein madad deta hai .

NO 2:  kya badam ko chilkay ke sath khanay chahiye ya utaar kar ?

badam par mojood brown chilka bhi mutadid fawaid ka haamil hota hai, is mein ( polifieoz Polyphenols) ki miqdaar bohat ziyada hoti hai
aur yahi usay fibre se bharpoor mewa bhi banata hai .
 

NO 3: kya fridge mein rakhnay se badamon ki ghizaiyat mutasir hoti hai ?

fridge kisi bhi terhan badamon ki ghizaiyat par manfi asraat muratab nahi karta, dar haqeeqat is se badam ki zindagi badhaane mein madad millti hai .

NO 4: Badam bigho kar khana hafzay ke liye faida mand ?

hafzay ko taiz karne ke liye bohat ziyada badam khanay ki zaroorat nahi, bas 8 se 10 badamon ko raat ko pani mein bigho kar subah khana hi mo-asar
saabit hota hai.

mahireen ke mutabiq pani mein bigho kar badam khana ghizai ajza ko jism mein aasani se jazb honay mein madad deta hai. is ke ilawa is
mein mojood vitamin bi six proteins ke metabolism mein madad deta hai, jis se dimaghi khaliyaat mein anay wali kharabion ki murammat mein madad millti hai .

NO 5: Akhir to badam khanay ka behtareen tareeqa konsa hai ?

badamon ke istemaal ka behtareen tareeqa bas wohi hai jo aap ko pasand ho, bas bohat ziyada khanay se guraiz karna chahiye kyunkay aitdaal hi faida
pohanchata hai, kisi bhi cheez ki zayad-ti nuqsaan da hoti hai .

Share on Google Plus

About walizone

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.

0 Comments:

Post a Comment