kamar dard ka qudrati ilaaj | کمر درد کا قدرتی علاج

kamar dard ka qudrati ilaaj | کمر درد کا قدرتی علاج


jawani aur burhapay mein yaksar paaya jane wala kamar dard har kisi ko apni girift mein liye hue hai. taham baaz auqaat surgery ko uska hal qarar diya jata hai magar aisay shadeed tarz ilaaj ki taraf rujoo karne se pehlay chand gharelo satah par tadabeer ko zindagi mein shaamil kar ke zaroor dekhna chahiye


kamar dard ki be shumaar wajohaat ho sakti hain jin mein koi chout, Subcutaneous disk, arthritis, phisli hui disk ya koi bhi hadion ka masla shaamil hain.

basa auqaat yeh dard ghalat andaaz mein sonay, ziada der tak baithy rehne ya kandhon pay bag pehnay rakhnay ki wajah se bhi ho sakti hai. is dard se mehez apna andaaz badalny se hi theek kya ja sakta hai .

kamar dard ka ilaaj

 sab se qabal –apne kamar dard ke baray mein –apne mualij se mushawarat be had zaroori hai taakay kamar dard ki asal wajah pata chal sakay. kamar aur reerh ki haddi ke masail ko sanjeedgi se lena laazmi hai kyunkay aik dr hi kisi thos wajah ki nishandahi kar sakta hai .

Share on Google Plus

About walizone

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.

0 Comments:

Post a Comment