Sar dar se sirf 10 second mein nijaat dilanay wala mo-asar tareeqa

Sar Dard Se Sirf 10 Second Mein Nijaat Dilanay Wala Mo-Asar Tareeqa

Sar dar kia ilaj in urdu hindi
Sar dar kia ilaj in urdu hindi
 
Sar Dard Aisa Nahi jo kisi Khush gawar ehsas ka baais ban sakay, khaas tor Par Agar woh daftar, kaam karte hue ya sarrak par aap ko apna shikaar banaye aur aap ke paas dard kash adwiyaat bhi nah hon.

Magar kya aap ko maloom hai ke aik intahi saada tareeqa azmaane par aap ko golion ki zaroorat hi nahi rahay gi ?

Yes baghair dard kash adwiyaat ke bhi aap sar dar aur Tanaw se sirf 10 second mein nijaat haasil kar saktay hain .

Hamaray jism mein aisay mutharrak Spots hotay hain jin par maalish ya dabio mukhtalif terhan ke dard aur takleef mein kami laane ka baais bantaa hai .

Aam tor par sir dard ke douran jabray ke muscles jakar kar reh jatay hain jo ke dard mein mazeed izafay karte hain .

Magar aik tareeqay se sar dar ko 10 second mein daur bhgaya ja sakta hai jo ke bohat asaan aur intahi mo-asar bhi hai .

yeh muscles kaafi barray hotay hain jo ke jabray aur galoon ko aapas mein jorhte hain jabkay chabanay mein mein bhi ahem kirdaar ada karte hain .


Apne is hissay par ungelian narmi se rakhen aur phir Apne jabray ko jis hadd taq ho sakay khollen.

is ke baad Apna Muh Phir Band karlen, yeh Amal is waqt Taq dohrayen jab taq Masal Par jakran ka ehsas khatam nah hojaye.

Aaghaz mein yeh amal din mein kayi baar dohrayen is se sar dar ka Tano khatam hoga balkay jabron ki takleef se bhi nijaat miley gi.
Share on Google Plus

About walizone

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.

0 Comments:

Post a Comment